₹500 Mein Ek Crore Ka Sahara – Insurance Ki Asli Kahani

₹500 Mein Ek Crore Ka Sahara – Insurance Ki Asli Kahani Bachpan mein jab papa kisi “agent uncle” ke saath baithke kuch papers sign karte the, main sochta tha — "ye log kya kar rahe hain?" Bada hone ke baad samjha ki insurance sirf ek kagaz nahi hota. Wo ek soch hoti hai — apne parivaar ke liye. Aaj ka zamana fast hai. EMI, petrol, school fees — sab kuch mehenga hai. Agar kal ko main na rahun, toh kya mere maa-baap ya meri biwi sab kuch sambhal paayenge? Yahi sawal har ek aadmi ko ek baar apne dil se poochhna chahiye. Insurance lene ka matlab ye nahi ki hum negative soch rahe hain. Balki iska matlab hai ki hum zimmedar soch rahe hain. ₹500 ya ₹1,000 mahine mein agar aap ek badi musibat ke waqt apne ghar walon ka sahara ban sakte ho, toh mujhe lagta hai ye best decision hai. Koi policy perfect nahi hoti, lekin agar niyat sahi hai, aur aap samajh ke le rahe ho, toh wo policy aapke liye perfect hai.

Comments

Popular posts from this blog

Insurance Lena Kyun Zaroori Hai? Ek Aam Aadmi Ka Nazar

₹1 Crore Insurance Sirf ₹500 Mein — Sapna Nahi, Haq Hai